6 NUMBER

          

 

Deen  par  chalna  aajaye  isliye  buzurgan e deen  nay  quran wa hadees  ki raushni  mein  6 baatein  bataye  hai  jin  par  mehnat  karkay  zindagi  mein  laanay  say  inshallah  deen  par  chalna  asaan  ho  jaata  hai.

________________________________________________________________________________

1.   IMAAN

 

MAQSAD: Hum ko apne imaan par itni mehnat karna hai kay hamaray dilon mein sirf Allah say

                  honay ka yaqeen aajaye aur yeh yaqeen aajaye kay Mohammed SAWS kay tareeqon

                     mein saw fisad kamiyaabi hai aur ghairon kay tareeqon mein saw fisad nakami hai.

 

FAZAIL: # sirf yaqeen ki tabdeeli par Allah jallashanahu har aadmi ko is duniya say kaee guna

               badi jannat dengay,  jab cheezo say honay ka yaqeen dil say nikal jaayeega aur Allah

             say honay ka yaqeen aajaeega to Allah ta’ala saari cheezo ko aapnay taabay banaeegay

 # jab Hazrat Mohammed SAW kay tareeqay zindagi mein aaeengay to Allah jallashanahu ki zaat

    e aali say taaluq paida hoga Allah jallayshanahu ki khudrat say barah e rast faiday uthanay

    walay banengay aur Allah jallashanahu har nakhshay mein kaamiyaab karkay dekhla dayga.

 

MEHNAT:

  1. Is yaqeen ko apnay andar lanay kay liye ek to doosro ko Allah say hone ki dawat dena hai aur Allah ki badaaye samjhana, Allah ki raboobiyat samjhana (yaani Allah hi paalnay walay hai), Allah ki qudrat (taaqat) samjhana, kay kaise  har cheez Allah kay hukum ki mohtaaj hai, aur phir Ambiya (A.S) aur Sahaba (R.A) kay wakeayaat sunanay hai.

 

  1. doosra jis yaqeen ki majmue mein dawat di hai us yaqeen ko tanhaaeoon me baith kar khoob soonchna aur dil mein utaarna.

 

iii)     teesra ro ro kar Allah say dua mangna hai kay aye Allah hamay is yaqeen ki haqeeqat say

           nawaazday

________________________________________________________________________________

2.   NAMAZ:

 

MAQSAD: hum ko apni namaz par itni mehnat karna hai kay hamari namaz haqeeqat wali ban

                  jaaye.

 

FAZAIL: agar hamari namaz haqeeqat wali ban gayee to hum namaz kay zariye, Allah ki qudrat

               say barah e rast faiday uttha nay walay aur namaz kay zariye hum apni har zaroorat

                 ko pura karnay walay ban jaayeingay,  aisi namaz par Allah jallashanahu gunahon ko

                 maaf karengay, rizq mein barkat deengay aur it’aat ki taufeeq bhi deengay.

                 (namaz kay fazail ki hadees bolna - see fazail e namaz)

 

MEHNAT:

  1. is haqeeqat wali namaz ko seekhnay kay liye ek to doosro ko khushoo aur khuzoo wali

namaz ki dawat dena aur is mein duniya aur akhirat kay faiday samjhakar amaada karna hai, Huzoor (SAWS) aur Sahaba (R.A) kay namaz ko sunana.

(see fazail e amaal mein hikayat sahaba mein sahaba kay namaz ke waqeaat - usko bolna)

 

  1. doosra apni namaz ko accha karnay ki mashk karna hai-yaani ehtamaam say wazu karna,

sar say lay kar pair tak Allah ki riza wali, maqsoos - tareeqay par pabandeoon kay saath ankhon ka, kaano ka , zabaan ka, hathon ka, pairon ka - istemaal theek karna, dil mein Allah ka khauf ho aur is baat ka yaqeen ho kay namaz mein Allah kay hukum kay mutabiq meri har harkat ho tasbeeh, ruku, sajda, saari kainath say ziyaada inamaat delanay wali hai, namaz mein ehtemaam say dhiyaan jama na hai, iskay liye qiyaam mein, qhaiday mein, ruku mein, sajday mein kum se kum 3 baar yeh soonchna kay meray Allah mujhay dekhrahay hai, agar hum is dhiyaan kay saath namaz padhengay ki meray Allah mujhay dekhrahay hai to namaz ki bahar wali zindagi mein bhi Allah ka dhiyaan naseeb hoga aur gunahoo say mehfooz rahengay.

 

  1. Namaz ke khatam par yeh soonchna kay meri namaz Allah ke shaan kay mutabiq nahi huye is par rona aur dua maangna kay aye Allah hamari namaz mein haqeeqat paida farma.

_____________________________________________________________________________

3.   ILM:

 

MAQSAD:humko apnay ilm par itni mehnat karna hai kay hamaray andar tehqeeq ka jazba

                    paida ho jaye kay is haal mein meray Allah mujh say kya chahtay hai aur har amal

                    say pehlay Allah ka hukum aur Aap (SAWS) ka tareeqa maloom karnay walay ban

                    jaaye aur zidagi ka koi shoba aisa nahi hai jisko Huzoor (SAWS) karkay dekhla na

                    gaye ho ya phir apnay Sahaba (R.A) ko batla na gaye ho.

 

FAZAIL: # jo aadmi deen seekhnay ke liye safar karta hai uska yeh safar ibaadat mein likha jata

                  hai aur uskay liye sattar(70,000) hazaar farishtay pairon kay neechay par bicha

                    daytay hai aur zameen aur asmaan ki saari maqlooq dua e maghfirat karti hai

                 # shaitan par ek alim hazaar abidon say ziyaada bhaari hai.

                   (see fazail e ilm in muntaqab hadees and fazail e amaal - aur hadees bolna)

 

MEHNAT:

  1. apnay andar tehqeeq ka jazba paida karnay kay liye ek to doosro ko ilm kay fazail sunana yaani dawat dayna aur ilm hasil karnay ka shauq paida karnay ki koshish karna hai. Sahaba (R.A) kay waqeaat sunana kay kaisa Sahaba (R.A) ek hadees sekhnay kay liye duur ka safar kartay the (see hikayat shaba ilm seekhne ka jazba)

 

  1. doosra khud taleem kay halqon mein baith kar ilm sekhnay ki mashk karna hai aur ulema ki khidmat mein haaziri dayna hai is yaqeen kay saath - kay yeh bhi ibaadat hai

 

iii)      teesra ro ro kar dua maangna kay aye Allah ilm ki haqeeqat say nawaazday

________________________________________________________________________________

ZIKR:

 

MAQSAD: hum ko zikr par itni mehnat karna hai kay hamaray andar Allah ka dhiyaan paida ho

                  jaaye

 

FAZAIL: jo aadmi Allah jallashanahu ko yaad karta hai Allah jallashanahu usko yaad kartay hai

               #jab tak aadmi kay hont Allah kay zikr mein haltay rehtay hai Allah taala uskay saath

                 hotay hai # Allah ka zikr karnay par Allah taala apni mohabbat aur maarifat (pehchaan)

                 ata farmatay hai #Allah ka zikr shaitaan say hifaazat ka zariya hai (see fazail e zikr)

MEHNAT:

  1. apnay andar Allah ka dhiyaan paida karnay kay liye ek to doosoron ko Allah kay zikr karnay ki targheeb day kar amaada karna hai  (sahaba ke waqeaat sunana)

 

  1. doosra khud dhiyaan jama kar meray Allah mujhe dekh rahein hai kum say kum subah aur  shaam, teen  teen tasbeehaat  ki  pabandi  karna hai -durood shareef, -isteghfaar, suwwam kalima aur quran shareef seekh kar rozaana kum say kum ek paaray ki telawat karna hai aur masnoon duaoon ka ehtemaam karna hai

 

 iii)     teesra ro ro kar Allah say mangna hai kay aye Allah apna dhiyaan naseeb farma.

________________________________________________________________________________

4.   IKRAAM E MUSLIM:

 

MAQSAD: hum ko ikraam e muslim par itni mehnat karna hai kay har musalmaan ka uskay

                  imaan wala hoonay ki wajeh say ikraam karna hai aur har musalmaan ka ba-haiseyat Rasool SAWS kay ummati honay kay ikram karna hai aur har ummati kay aagay bich jaana hai aur har shaks kay huqooq ko ada kartay huye apnay huqooq ko maaf karna aajaye.

 

FAZAIL: # jo aadmi musalmaan ki parda pooshi karega Allah jallashanahu uske aibon ki parda

                 pooshi farmayengay  

# jab tak imaan wala apnay bhai kay kaam mein laga rehta hai Allah jallashanahu uskay kaam

   mein lagay rehtay hai

# jo apnay haq ko maaf karega Allah jallahshanahu jannat kay beech mein mahal ata

   farmayengay

# jo Allah kay liye doosron kay aagay zaleel hota hai Allah jallashsnahu usko rafat wa

   sarbulandi ata farmatay hai.

 

MEHNAT:

  1. apnay andar ikraam paida karnay ke liye ek to doosron ko musalmaan ki qeemat batana hai kay (har imaan wala saato zameen aur saato asmaano aur jo kuch ismay hai ussay bhi bahut qeemti hai) ikraam ki targheeb dena hai, Huzoor Akram SAWS aur Sahaba (R.A) kay akhlaaq wa e’saar kay waqeaat ko sunana hai

 

  1. doosra khud iski mashk karna hai (doosron ki khidmat karkay)

 

iii)     teesra ro ro kar Allah jallashanahu say Huzoor SAWS walay akhlaaq ko mangna hai.

_____________________________________________________________________

5.   IKHLAAS E NIYYAT:

 

MAQSAD: hum ko apni niyyat  ko durust karnay par itni mehnat karna hai kay har amal mein

                     sirf Allah ko razi karnay ka jazba paida ho jaye kisi amal say duniya ki talab aur apni

                     haisiyat maqsood na ho.

 

FAZAIL: # Allah ki riza kay jazbay kay saath thoda sa amal bhi bahut baday - baday inamaat

               dilanay wala hai aur iskay bagair bahut baday - baday amal giraft ka sabab banengay

                 # ikhlaas say kiya hua ra’e kay danay kay barabar wala amal bhi qiyamat mein uhad

                 ka pahaad say bhi bada ajar dilayega aur ikhlaas kay bagair agar uhad pahaad kay

                 barabar bhi amal kareingay to woh ra’e kay danay kay barabar bhi ajar nahi delayega.

MEHNAT:

  1. apni niyyat ko durust karnay kay liye ek to doosron ko dawat kay zariye niyyat ko sahi karnay ki fikar aur shauq paida karnay ki koshish karein

 

  1. doosra apnay har amal say pehlay aur amal kay dauraan niyyat ko durust karnay ki mashk karna hai kay - mein yeh amal sirf Allah ko raazi karnay kay liye kar rahaa hoon

 

  1. teesra - amal kay puray honay par apni niyyat ko naqis kharaar day kar tauba wa isteghfaar  karna hai aur ro ro kar Allah say ikhlaas ki taufeeq mangna hai.

______________________________________________________________________

6.   DAWAT E IL’LAL’LAAH:

 

MAQSAD: Huzoor Aqdas SAW ke khatm e nabuwwat kay tufail puri ummat ko dawat wali

                  mehnat mili hai aur hum is mehnat ko itna karnay walay ban jaaye kay hamara

                     apna aur Allah kay tamaam bandon ka taalluq Allah say ho jaaye.

 

FAZAIL:  # jo zameen waalo par raham karta hai asmaan waala us par raham karta hai

 # jo doosron ka taalluq Allah say joodnay kay liye imaan wa amaal e saleh ki mehnat

                    karayga, Allah jallahshanahu sub say pehlay usko imaan wa amaal e saleh ki

                    haqeeqat say nawaaz kar apna taalluq ata farmaengay

# is rastay mein ek subah ya ek shaam ka nikal na puri duniya mein jo kuch maal hai aur jo kuch

   amaal ho rahay hai un sub say behtar hai

# is mehnat mein maal ka kharch karna, Allah ka har zikr wa tasbeeh, har namaz ka sawab saath

   lakh (700000) guna bard jata hai

# is mehnat ko karnay walon ki dua bani israeel kay ambiya alaihis-salaam ki tarah qubool hoti

   hai yaani jistarah unki duaoon par Allah jallashanahu nay zahir kay khilaaf apni khudrat ko

   istemaal farma kar unko kamiyaab farmaya batil ko toord diya usi tarah is mehnat walon ki

   duaoon par Allah jallahshanahu zahir ke khilaaf apni khudrat ka muzahera farmaengay

# agar aalami buniyaad par mehnat ki jaaye to tamaam ahle aalam kay quluub mein is mehnat

   kay asar say Allah jallahshanahu tabdeeliyaan layengay.

 

MEHNAT:

  1. deen kay doosray amal ki tarah hum nay yeh mehnat karnay nahi aaye is mehnat ko seekhnay ke liye ek to doosron ko is mehnat ki ahmiyat wa qeemat bata kar us mehnat kay karnay kay liye amaada karna hai

  

  1. ambiya alaihis-salaam aur Sahaba (R.A) walay tarz par apni jaan wa maal ko qurbaan karna, hijrat wa nusrat walay amaal mein apnay-aap ko lagana hai aur jin mein mehnat karein unsay kisi cheese kay talib na bannay, har haal mein Allah kay raastay mein nikalnay ki mashk karna hai, jaisay kay Sahaba (R.A) Allah kay raastay mein nikalay - nikah kay waqt, rukhsati kay waqt, ghar mein wiladat kay waqt, wafaat kay maukhay par, sardi mein, garmi mein, bhook mein, fakhay mein, quwwat mein, zauf mein, jawaani mein, budhapay mein

 

iii)     teesra ro ro kar dua maangna kay aye Allah hamay is aa’li mehnat kay liye qubool farma